Friday, 8 April 2011

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak

kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak


daam har mauj meN hai halqaa-e-sad-kaam-e-nahang

dekheN kyaa guzre hai qatre pe guhar hone tak


aashiquii sabr-talab aur tamannaa betaab

dil kaa kyaa rang karuuN Khuun-e-jigar hone tak


ham ne maanaa ke taGhaaful na karoge lekin

Khaak ho jaayeNge ham tum ko Khabar hone tak

partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim

maiN bhii huuN ek inaayat kii nazar hone tak


yak-nazar besh nahiiN fursat-e-hastii Ghaafil

garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak


Gham-e-hastii kaa ‘Asad’ kis se ho juz marg ilaaj

shammaa har rang meN jaltii hai sahar hone tak


Mirza Ghalib

Please leave a comment :)