Wednesday 20 April 2011

jo bhii dukh yaad na tha yaad aayaa

jo bhii dukh yaad na tha yaad aayaa

aaj kyaa jaaniye kyaa yaad aayaa

phir ko’ii haath hai dil par jaise

phir teraa ahd-e-vafaa yaad aayaa


jis tarah dhuNdh meN lipTe hu’e phuul

ek ek naqsh teraa yaad aayaa


aisii majboorii ke aalam meN ko’ii

yaad aayaa bhi to kyaa yaad aayaa

Tuesday 12 April 2011

kab udaasii payaam hotii hai?

kab udaasii payaam hotii hai?

jab muhabbat tamaan hotii hai


kis ke chehre pe subh jaage hai?

jis kii aankhon men shaam hotii hai

ishq bantaa hai kis ghaRii sayyaad?

jab vafaa zer-e-daam hotii hai


Tiis bantii hai aagahii kaise?

Khud se jab ham-kalaam hotii hai

agar dard-e-muhabbat se na insaaN aashnaa hotaa

agar dard-e-muhabbat se na insaan aashnaa hotaa

na marne kaa mazaa hotaa, na jiine kaa mazaa hotaa

hazaaron jaan dete hain buton kii be-vafaa’ii par

agar un men se ko’ii baa-vafaa hotaa to kyaa hotaa


agar dam bhar bhii miT jaatii Khalish-Khaar tamannaa

dil hasrat talab ko apnii hastii hai gilaa hotaa