Tuesday 12 April 2011

ai jazbaa-e-dil gar main chaahuun, har chiiz muqaabil aa jaaye

ai jazbaa-e-dil gar mai.n chaahuun har chiiz muqaabil aa jaaye

manzil ke liye do gaam chaluun aur saamne manzil aa jaaye

kashtii ko Khuda per chhor bhi de, kashtii ka Khudaa Khuda haafiz hai

mushkil to nahiin in maujon mein bahtaa huvaa saahil aa jaaye

ai dil kii lagii chal yun hii sahii, chalataa to hun unkii mahfil mein

us vaqt mujhe chaunkaa denaa jab rang pe mahfil aa jaaye

ai raaHbar-e-kaamil chalane ko tayyaar to hun par yaad rahe

us vaqt mujhe bhaTkaa denaa jab saamne manzil aa jaaye


haan yaad mujhe tum kar lenaa aavaaz mujhe tum de lenaa

is raah-e-muhabbat mein ko’ii darpaish jo mushkil aa jaaye

ab kyun dhuundhuun vo chashm-e-karam hone de sitam balaa-e-sitam

main chaaHtaa hun ai jazbaa-e-Gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye

is jazba-e-dil ke baare mein ek mashvaraa tum se letaa hun

us vaqt mujhe kyaa laazim hai jab tujh pe meraa dil aa jaaye

ai barq-e-tajallii kyaa tuune mujhko bhii Muusaa samjhaa hai

main tuur nahiin jo jal jaauun jo chaahe muqaabil aa jaaye

Behzad Lucknawi

Please leave a comment :)