Friday, 8 April 2011

chalne ka hausla nahiin rukna muhaal kar diya

chalne kaa hauslaa nahiiN ruknaa muhaal kar diyaa

ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diyaa

milte hu’e diloN ke biich aur thaa faislaa ko’ii

usne magar bichhaRte vaqt aur savaal kar diyaa

ae merii gul-zamiiN tujhe chaah thii ek kitaab kii

ahl-e-kitaab ne magar kyaa teraa haal kar diyaa

ab ke havaa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir

baanu-e-shab ke haath meN rakhnaa sambhaal (?) kar diyaa


mumkinaa faisloN meN ek hijr kaa faislaa bhii thaa

hamne to ek baat kii usne kamaal kar diyaa


mere laboN meN muhr thii par mere shiisha-ruu ne to

shah’r ke shah’r ko meraa vaaqif-e-haal kar diyaa

chehraa-o-naam ek saath aaj na yaad aa sake

vaqt ne kis shabiih ko Khvaab-o-Khyaal kar diyaa

muddatoN baad usne aaj mujhse ko’ii gilaa kiyaa

mansab-e-dilbarii pe kyaa mujhko bahaal kar diyaa


Parveen Shakir

Please leave a comment :)