Friday, 8 April 2011

harf-e-taza nayi khushbuu men likha chahta hai

harf-e-taazaa nayii Khushbuu meN likhaa chaahtaa hai

baab ek aur muhabbat kaa khulaa chaahtaa hai


ek lamhe kii tavajjoh nahiiN haasil uskii


aur ye dil ke use hadd se sivaa chaahtaa hai

ek hijaab-e-tah-e-qiraar hai maane varnaa

gul ko maaluum hai kyaa dast-e-sabaa chaahtaa hai

ret hii ret hai is dil meN musaafir mere

aur ye sehraa teraa naqsh-e-kaf-e-paa chaahtaa hai


yahii Khamoshii ka’ii rang meN zaahir hogii

aur kuch roz ke vo shoKh khulaa chaahtaa hai

raat ko maan liyaa dil ne muqaddar lekin

raat ke haath pe ab ko’ii diyaa chaahtaa hai

tere paimaane meN gardish nahiiN baaqii saaqii

aur tere bazm se ko’ii uThaa chaahtaa hai

Parveen Shakir

Please leave a comment :)