Saturday 9 April 2011

jamegii kaise bisaat-e-yaaraan ke shiisha-o-jaam bujh gaye hain

jamegii kaise bisaat-e-yaaraaN ke shiisha-o-jaam bujh gaye hain

sajegii kaise shab-e-nigaaraaN ke dil sar-e-shaam bujh gaye hain
 

vo tiirgii hai rah-e-butaaN meN chiraaGh-e-ruKh hai na shamma-e-vaadaa

kiran ko’ii aarzuu kii laao ke sab dar-o-baam bujh gaye hain


bahut sambhaalaa vafaa kaa paimaaN magar vo barsii hai ab ke barkhaa

har aik iqraar miT gayaa hai tamaam paiGhaam bujh gaye hain

qariib aaye mai-e-shab-e-Gham, nazar pe khultaa nahiiN kuch is dam

ke dil pe kis kis kaa naqsh baaqii hai, kaun se naam bujh gaye hain


bahaar ab aa ke kyaa karegii ke jin se thaa jashn-e-rang-o-nahhmaa

vo gul sar-e-shaaKh jal gaye haiN, vo dil tah-e-daam bujh gaye hain

Faiz Ahmed Faiz

Please leave a comment :)