Friday, 8 April 2011

khayaal-o-khwaab hu’aa, barg-o-baar ka mausam

Khayaal-o-Khvaab hu’aa, barg-o-baar kaa mausam

bichhaR gayaa tirii suurat, bahaar kaa mausam

ka’ii rutoN meN mire niim-vaa dariichoN meN

Theher gayaa hai tire intizaar kaa mausam

vo narm lehje meN kuchh to kahe,yaa lauT aaye

sama’atoN kii zamiiN par phuaar kaa mausam

payaam aaye haiN, phir eik sar-e-qaamat ke

mere wajod ko khaiNchay hai daar kaa mausam


vo aag hai ke merii poor poor jalti hai

mere badan ko milaa hai chanaar kaa mausam

rafaaqatoN ke naye khwaab khushnuma haiN, magar,

guzar chukaa hai tire aitbaar kaa mausam

havaa chalii to nayii baarisheN bhii saath aayiiN

zamiiN ke chehre pe aayaa nikhaar kaa mausam

vo meraa naam liye jaaye aur maiN uss kaa naam

lahuu meN guuNj rahaa hai pukaar kaa mausam

qadam rakhe mirii Khushbuu, ke ghar ko lauT aaye

ko’ii bataaye mujhe kuu-e-yaar kaa mausam

vo roz aa ke mujhe apnaa pyaar pehnaaye

mera Ghuruur hai bailay ke haar kaa mausam

tire tareeq-e-mohabbat pe baarhaa sochaa

ye jabr thaa ke tire ekhtiyaar kaa mausam

Parveen Shakir

Please leave a comment :)