Friday, 8 April 2011

sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain

sunaa hai log use aaNkh bhar ke dekhte haiN


so us ke shah’r meN kuchh din Thahar ke dekhte haiN

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloN se

so apne aap ko barbaad kar ke dekhte haiN

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii

so ham bhii us kii galii se guzar ke dekhte haiN


sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shaGhaf

so ham bhii mojaze apne hunar ke dekhte haiN


sunaa hai bole to baatoN se phuul jhhaRte haiN

ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiN

sunaa hai raat use chaaNd taktaa rahtaa hai


sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte haiN

sunaa hai hashr haiN us kii Gazaal sii aaNkheN

sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiN

sunaa hai din ko use titaliyaaN sataatii haiN

sunaa hai raat ko jugnuu Thaher ke dekhte haiN

sunaa hai raat se baRh kar haiN kaakuleN us kii

sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhte haiN

sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai

so us ko surmaafarosh aah bhar ke dekhte haiN

sunaa hai us ke laboN se gulaab jalte haiN

so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte haiN

sunaa hai aa’iinaa tamsaal hai jabiiN uskii

jo saadaa dil haiN ban saNvar ke dekhte haiN

sunaa hai jab se hamaail haiN us kii gardan meN

mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhte haiN

sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan meN

palang zaave (?) us kii kamar ke dekhte haiN

sunaa hai us ke badan ke taraash aise haiN

ke phuul apanii qabaayeN katar ke dekhte haiN


vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahiiN

ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte haiN


bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa

so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhte haiN


sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht

makiiN udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte haiN


ruke to gardisheN us kaa tavaaf kartii haiN

chale to us ko zamaane Thaher ke dekhte haiN

kise nasiib ke be-pairahan use dekhe

kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhte haiN

kahaaniyaaN hii sahii sab mubaalaGe hii sahii

agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhte haiN


ab us ke shahar meN ThahareN ki kuuch kar jaayeN

“Faraz” aao sitaare safar ke dekhte haiN

Ahmed Faraz

Please leave a comment :)