Friday, 8 April 2011

teri baaten hii sunaane aaye

terii baateN hii sunaane aaye

dost bhii dil hii dukhaane aaye

phuul khilte haiN to ham sochte haiN

tere aane ke zamaane aaye


aisii kuchh chup sii lagii hai jaise


ham tujhe haal sunaane aaye


ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-Gham

kaun ye bojh uThaane aaye

ajanbii dost hameN dekh ke ham

kuchh tujhe yaad dilaane aaye

dil DhaRaktaa hai safar ke hangaam

kaash phir ko’ii bulaane aaye


ab to rone se bhii dil dukhtaa hai

shaayad ab hosh Thikaane aaye

kyaa kahiiN phir ko’ii bastii ujRii

log kyuuN jashn manaane aaye

so raho maut ke pahluu meN “Faraz”

niiNd kis vaqt na jaane aaye

Ahmed Faraz

Please leave a comment :)