Tuesday 12 April 2011

uThThe terii mehfil se to kis kaam ke uThThe

uThThe terii mehfil se to kis kaam ke uThThe

dil thaam ke baithe the, jigar thaam ke uThThe

dam bhar mere pehluu meN unheN chain kahaaN hai

baiThe, ke bahaane se kisii kaam se uThThe

afsos se aGhyaar ne kyaa kyaa na male haath

vo bazm se jab haath meraa thaam ke uThThe

dunyaa meN kisii ne bhii ye dekhii na nazaakat

un se na kabhii harf mere naam ke uThThe


jo zulm-o-sitam tum ne kiye sab vo uThaaye

ek ranj-o-alam ham se na ilzaam ke uThThe

sadmeN to bahut qaid meN jhele mere dil ne

jhonke na magar zulf-e-siyaah faam ke uThThe

hai rashq ke ye bhii kahiiN shaidaa na hoN us ke

turbat se bahut log mere naam ke uThThe

afsaana-e-husn uska hai har aik zubaan per

parde na kabhii jis ke dar-e-baam se uThThe

aaGaaz-e-muhabbat meN maze dil ne uThaaye

puuche to ko’ii ranj bhii ilzaam ke uThThe

dil nazr meN de aaye us shoakh ko “Bekhud”

baazaar meN jab daam na us jaam ke uThThe

Bekhud Dehlvi

Please leave a comment :)