Tuesday, 5 April 2011

aabaad raheinge weeraane, shadaab raheingi zanjeerein

abaad raheNge veeraane, shaadaab raheNgi zanjeereN

jab tak deewaane zindaah hai.n, phuuleNgi phaleNgi zanjeereN

aazaadi kaa darwaazaa bhii Khud hi kholeNgi zanzeeren

tukRe tukRe ho jaayeNgi jab hadd se baRheNgi zanzeereN

jab sabke lab sil jaayeNge, haathoN se kalam chhin jaayeNge

baatil se lohaa lene kaa, ailaan kareiNgi zanjeereN

andhoN behroN ki nagrii me.n yuuN kaun tawajjoh kartaa hai

maahaul sunegaa, dekhegaa, jis waqt bajeNgi zanjeereN

jo zanjeeron se baahar haiN, aazaad unheN bhi mat samjho

jab haath kaTenge zaalim ke, us waqt kaTengii zanzeereN


ye taur bhi haiN sayyaadi ke, ye dhang bhi haiN jallaadi ke

Gar aisaa hi maahul rahaa,phaileiNgi badheiNgi zanjeereN

majbooroN ko tarsaayengi, yuuN aur hameN taRpaayeNgi

zulfoN ki yaad dilaayeiNgi, jab lehraayeNgi zanjeereN

zanjeereN to haT jayeNgi, haaN, inke nishaaN rah jayeNge

meraa kyaa hai, zaalim, tujhko badnaam kareNgi zanjeereN

le, de k Hafeez in se thii.n, ummiid-e-wafaa deewaanoN ko

kyaa hogaa jab deewaanoN se naataa toReNgi zanjeereN

Hafeez Meeruti

Please leave a comment :)