Tuesday 12 April 2011

baat karnii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii

baat karnii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii

jaisii ab hai terii mehfil kabhii aisii to na thii


le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar

be-qaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii


chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin

jaise ab ho ga’ii qaatil kabhii aisii to na thii


un kii aankhon ne khudaa jaane kiyaa kyaa jaaduu

ke tabiiyat merii maa’il kabhii aisii to na thii

aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamkaayaa

taab tujh meN maah-e-kaamil kabhii aisii to na thii


kyaa sabab tuu jo bigartaa hai “Zafar” se har baar

Khuu terii huur-e-shamaa’il kabhii aisii to na thii


Bahadur Shah Zafar

Please leave a comment :)