Saturday 9 April 2011

bol ke lab aazaad hain tere

bol ke lab aazaad hain tere

bol zabaan ab tak terii hai

teraa sutvaan jism hai teraa

bol ke jaan ab tak terii hai

dekh ke aahangar kii dukaan men

tund hain shole surkh hai aahan

khulne lage quflon ke dahaane

phailaa har ek zanjiir kaa daaman


bol ye thoRaa vaqt bahut hai

jism-o-zubaan kii maut se pahle

bol ke sach zindaa hai ab tak

bol jo kuch kehnaa hai keh le

Click to enjoy Tina Sani’s rendition of this nazm.

Faiz Ahmed Faiz

Please leave a comment :)