Saturday 9 April 2011

paaun se lahu ko dho daalo

ham kyaa karte kis raah chalte

har raah men kaante bikhre the

un rishtoN ke jo chhuuT gaye

un sadiiyon ke yaaraanon ke

jo ik-ik kar ke Tuut gaye

jis raah chale jis simt gaye

yuun paaun lahuu-luhaan hu’e

sab dekhne vaale kahte the



ye kaisii riit rachaa’ii hai

ye mehndii kyuun lagvaa’ii hai

vo kahte the, kyuuN qaht-e-vafaa

kaa naahak charchaa karte ho

paaun se lahuu ko dho daalo

ye raaten jab kaT jaayengii

sau raste in se phuutenge

tum dil ko sambhaalo jismen abhi

sau tarah ke nashtar tuutenge

Faiz Ahmed Faiz

Please leave a comment :)